Yun toh chal rahaa tha sabkuch kaide se, 

Log jee rahe te, kuch acchese aur kuch faide se. 

Kahaani hai ye us aafath ki, jisne poori duniya ko hilaakar rakh diya, apne nakshe se. 


Toh shuruwaath hui kuch aisi, 

Jo kabhi na sunaa tha, ye bimaari hai waisi. 


Na lena tum isko halke mein, 

Laakhon jaan le chukaa hai ye, kahi saare mulkho mein. 

Kabhi na sone waala ye desh aur uske naagarik, 

Aaj jaise maheeno se ruke padhe hai, apne ghar ke kamre mein.

 

Har buri cheez mein hoti hai kuch acchai, 

Shayad ye aafath mein bhi, hogi hamari bhalaayi. 


Ho rahaa hai buraa sabke saath, 

Ye samay par bhi, mushkilo se ladh sakenge hum dekar ek dooje ka saath. 

Ab rehna hai poori jaaguratha ke saath, 

Tabhi hogi hamari ye duniya aabaad. 


Ab paalan karna hai , har ek surakhsha niyam, 

Is aafath se tabhi baahar aa sakenge , jab ek jaagaruk desh ke jagaruk naagarik banenge hum. 


Is bure waqt mein bhi, rakh rahe sabka khayal hai, 

Sabhi Doctors aur Police ko hum sabka salaam hai. 


Apni parwah kiye bina , ye de rahe hai sabka saath, 

Dhanyawaad karta hoon aapka, jodhkar apne dono haath. 


Ladenge hum ek saath aur honge haalaath behtareen, 

Hum sabko milke ladhna hai , is aafathi Covid-19 


Is mushkil ghadhi mein bhi, kahi saare veero ne apna sabkuch hamein de diya, 

Ab haar nahi maan ni hai, kyunki 

Phir Muskurayega India 

Phir Muskurayega India ...


 - By NISHAL FAYAZ 

Student of SDM MBA college